Jane Too Kia Dhoond Raha Hai Basti Mein Weerane Mein, Laila To Aaye Qais Mile Gi Dil K Dolat Khane Mein,



Poet Ibn-E-Insha
Jane Too Kia Dhoond Raha Hai Basti Mein Weerane Mein,
Laila To Aaye Qais Mile Gi Dil K Dolat Khane Mein,
Janam Janam K Saton Dukh Hain Us K Maathe Par Tehreer,
Apna Aap Mitana Ho Ga Ye Tehreer Mitane Mein,
Mehfil Mein Us Shakhs K Hote Kaif Kahan Se Aata Hai,
Paimane Se Aankhon Mein Ya Aankhon Se Paimane Mein?
Kis Ka Kis Haal Sunaya Too Ne Aye Afsana Go,
Hum Ne Aik Tujhi Ko Dhoonda Is Sare Afsane Mein,
Is Basti Mein Itne Ghar Thay Itne Chehre Itne Log,
Aur Kisi K Dar Par Pohncha Aisa Hosh Deewane Mein...............!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo