Jashan-E-Baharan Manao K Eid Aai Hai

==============

Eid Collection

==============


Poet Umar Rahi


Jashan-E-Baharan Manao K Eid Aai Hai,


Mehfil-E-Yaaran Sajao K Eid Aai Hai,


Mehak Rahe Phool Har Tarf,


Phool Ye Zulfon Mein Sajao K Eid Aai Hai,


Lag Jao Gale Se Aaj Dosto Muskra Kar,


Ranjishain Sub Bhool Jao K Eid Aai Hai,


Do Khushi Se Mubark Ahl-E-Watan Ko,


Dais Pe Apne Qurban Ho Jao K Eid Aai Hai,


RAAHI Eid Hai Ye Qurbani Ki Do Koi Qurbani,


Chalo Kuchh Apni Khushian Hi Lutao K Eid Aai Hai.

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai