Kal Hum Ne Sapna Dekha Hai Jo Apna Ho Nahi Sakta Hai
Poet Ibn-E-Insha
Kal Hum Ne Sapna Dekha Hai,
Jo Apna Ho Nahi Sakta Hai,
Us Shakhs Ko Apna Dekha Hai,
Wo Shakhs K Jis Ki Khatir Hum,
Is Deis Phirein Us Deis Phirein,
Jogi Ka Bana Kar Bheis Phirein,
Chahat K Nirale Geet Lekhein,
Jee Mohne Wale Geet Lekhein,
Dharti K Mehkte Baghon Se,
Kalion Ki Jholi Bhar Laain,
Ambar K Sajeele Mandal Se,
Taron Ki Doli Bhar Laain,
Haan Kis K Liye Sab Us K Liye,
Wo Jis K Lab Pe Taiso Hain,
Wo Jis K Naina Aaho Hain,
Jo Khaar Bhi Hai Aur Khushbo Bhi Hai,
Jo Dard Bhi Hai Aur Daaro Bhi,
Wo Alharr Si Wo Chunchal Si,
Wo Shaairy Si Wo Pagal Si,
Hum Naam Na Us Ka Batlain,
Aaye Dekhne Walo Tum Ne Bhi,
Us Naar Ki Peet Ki Aancho Mein,
Is Dil Ka Tapna Dekha Hai?
kal Hum Ne Sapna Dekha Hai..........!
Page 66 To 67
Kal Hum Ne Sapna Dekha Hai,
Jo Apna Ho Nahi Sakta Hai,
Us Shakhs Ko Apna Dekha Hai,
Wo Shakhs K Jis Ki Khatir Hum,
Is Deis Phirein Us Deis Phirein,
Jogi Ka Bana Kar Bheis Phirein,
Chahat K Nirale Geet Lekhein,
Jee Mohne Wale Geet Lekhein,
Dharti K Mehkte Baghon Se,
Kalion Ki Jholi Bhar Laain,
Ambar K Sajeele Mandal Se,
Taron Ki Doli Bhar Laain,
Haan Kis K Liye Sab Us K Liye,
Wo Jis K Lab Pe Taiso Hain,
Wo Jis K Naina Aaho Hain,
Jo Khaar Bhi Hai Aur Khushbo Bhi Hai,
Jo Dard Bhi Hai Aur Daaro Bhi,
Wo Alharr Si Wo Chunchal Si,
Wo Shaairy Si Wo Pagal Si,
Hum Naam Na Us Ka Batlain,
Aaye Dekhne Walo Tum Ne Bhi,
Us Naar Ki Peet Ki Aancho Mein,
Is Dil Ka Tapna Dekha Hai?
kal Hum Ne Sapna Dekha Hai..........!
Page 66 To 67
Comments
Post a Comment