Phool Chahe Thay Magar Hath Main Aaye Pathar Hum Ne

 

Poet: Saghar Saddiqui

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Phool Chahe Thay Magar Hath Main Aaye Pathar.

Hum Ne Aaghosh-E-Mohabbat Main Sulaye Pathar.

Wehsat-E-Dil K Takaluf Ki Zarorat K Liye.

Aaj is Shokh Ne Zulfon Main Sajaye Pathar.

Un K Kadmon K Tale Chand Sitare Dekhe.

Apni Rahon Main Sulagte Howe Paye Pathar.

Main Teri Yaad Ko Youn Dil Main Liye Phirta Hoon.

Jaise Farhad Ne Seene Se Lagaye Pathar.

Fikar SAGHAR K Khareedar Na Bholen ge Kabhi.

Main Ne Ashkon K Goher Thay Jo Banaye Pathar...........!

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo