Pocha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye Pani Mein

 

Poet: Saghar Siddiqui

Type By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Pocha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye...*

Pani Mein Aks Chand Ka Dekha To Ro Diye...*

Naghma Kesi Ne Saaz Pe Chherra To Ro Diye...*

Ghuncha Kesi Ne Shakh Se Torra To Ro Diye...*

Urrta Howa Ghubar Sar-E-Rah Dekh Kar...*

Anjaam Hum Ne Ishq Ka Socha To Ro Diye...*

Badal Faza Mein Aap Ki Tasveer Ban Gaye...*

Saya Koi Khayal Se Guzra To Ro Diye....*

Rang-E-Shafaq Se Aag Shagofon Mein Lag Gai...*

SAGHAR Humare Haat Se Jhalka To Ro Diye.......!

Book:

Kuliyat e Saghar

Page: 46

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo