Aaye Kuch Abar Kuch Sharab Aaye Us K Baad Aaye Azab Aaye

 

Poet: Faiz Ahmad Faiz

Typ By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Aaye Kuch Abar Kuch Sharab Aaye.

Us K Baad Aaye Azab Aaye.

Baam-E-Mena Se Mahtab Utray.

Dast-E-Saqi Mein Aftaab Aaye.

Har Rag-E-Khoon Mein Phir Charaghaan Ho.

Samne Phir Wo Be Naqaab Aaye.

Umar K Har Warq Pe Dil Ko Nazar.

Teri Mehr-O-Wafa K Baab Aaye.

Kar Raha Tha Gham-E-Jahan Ka Hisaab.

Aaj Tum Yaad Be Hisaab Aaye.

Na Gai Tere Gham Ki Sardari.

Dil Mein Youn Roz inqalab Aaye.

Jal Utha Bazam-E-Ghair K Dar-O-Baam.

Jab Bhi Hum Khanmaan Kharab Aaye.

Is Tarah Apni Khamusi Goonji.

Goya Har Samat Se Jawab Aaye.

FAIZ Thi Rah Sar Basar Manzil.

Hum Jahan Phunche Kamyaab Aaye..................!

Book:

Requiem For An Unsung Messiah

Page: 71

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo