Ajnabi Wo Bhi Ajab Mosm Tha,
Teri Qurbat Ka Sunehra Mosam,
Teri Khushbo Se Mehekta Howa Gehra Mosam,
Tere Chehre Ki Tamazat Se Dehekti Subhein,
Teri Zulfon Ki Shabahat Se Lihkti Shamein,
Tere Lehje Ki Shararat Se Shagufta Lamhe,
Teri Aankhon Mein Larazte Howay Iqrar Ki Lo,
Teri Aawaz K Gul Posh Abzaron Mein,
Khawab Dar Khawab Duaon K Gulab,
Tere Balor Se Hathon Mein Meri Taza Kitab,
Ajnabi Ye Bhi Ajab Mosam Hai,
Teri Furqat Ka Jhulasta Mosam,
Aag Ban Kar Meri Sochon Pa Barsta Mosam,
Kitna Makhroot Tarab Mosam Hai,
Gham Bejan Noha Balab Mosam Hai,
Teri Khushbo Ka Jazeera Na Teri Yad Ka Shehr,
Meri Nas Nas Mein Utarta Howa Tanhai Ka Zehr,
Zehr Ki Lehr K Humrah Tere Dard Ka Qehr,
Qarya-E-Jan Mein Utarta Hai To Youn Laga Hai,
Jaise Nazil Ho Kisi Shehr-E-Charaghan Pe Azab,
Jaise Be Aab Hawa Rutt Mein Jhulas Jain Gulab,
Dil Mein Ab Dard Bikharta Hai To Youn Lagta Hai,
Jis Tarha Toot Rahi Ho Kisi Khaime Ki Tanab,
Aise Lagta Hai K Is Bar Na Choo Paye Gi,
Tere Balor Se Hathon Ko Meri Taza Kitab.
Comments
Post a Comment