Ban Gaye Ashk Jafa Ki Tasveer Khinch Gai Aaj Sada Ki Tasveer

 

Poet Saghar Saddiqui

Typ By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Ban Gaye Ashk Jafa Ki Tasveer.

Khinch Gai Aaj Sada Ki Tasveer.

Ehtiyat-E-Dil Ashq-E-Lazam.

Toot Jati Hai Wafa Ki Tasveer.

Fasal-E-Gul Aur Chatakte Ghunche.

Teri Makhmoor Ada Ki Tasveer.

Phir Baja Nala-O-Sheevan Ka Saroor.

Raqs Karti Hai Saba Ki Tasveer.

Jagmagti Hai Gham-E-Hasti K.

Rang-O-Roghan Se Qaza Ki Tasveer.

Bol Uthti Teri Lay Mein SAGHAR.

Aasmano Pe Dua Ki Tasveer........!


Book:

Kuliyat e Saghar

Page: 149

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai