Fiza-E-Neem Shabi Keh Rahi Hai Sab Acha

 

Poet Saghar Saddiqui

Typ By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Fiza-E-Neem Shabi Keh Rahi Hai Sab Acha.

Humari Bada Kashi Keh Rahi Hai Sab Acha.

Na Itbar-E-Mohabbat Na Akhtiar-E-Wafa.

Janoo Ki Teiz Ravi Keh Rahi Hai Sab Acha.

Dyar-E-Mah Mein Tameer May Kaday Hon Gay.

K Damano Ki Tahi Keh Rahi Hai Sab Acha.

Qafas Mein Youn Bhi Tasali Bahaar Ne Di Hai.

Chatak K Jaise Kali Keh Rahi Hai Sab Acha.

Wo Aashnaye Haqeeqat Nahi To Kia Gham Hai.

Hadees-E-Nama Bari Keh Rahi Hai Sab Acha.

Tarrap Tarrap K Shub-E-Hijar Katne Walo.

Nai Sahar Ki Gharri Keh Rahi Hai Sab Acha Hai.

Hayat-O-Mout Ki Tafreeq Kia Karein SAGHAR.

Humari Shan-E-Khudi Keh Rahi Hai Sub Acha.......!

Book:

Kuliat-E-Saghar

Page 52 to 53

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo