Har Ghari Main Justajo Mein Rehta Hon

 

Poet: Ayaz Khan

 

Typ By

*._Ayaz Khan_.* 

 

Har Ghari Main Justajo Mein Rehta Hon.

Mein To Bas Ab Junu Mein Rehta Hoon.

Dil Ki Halat Mat Pucho Mujhe Se Tum.

Mein To Gham Ki Char-Su Mein Rehta Hoon.

Aaj Mere Labon Pe Jo Muskurahat Saji Hai.

Fareb-E-Nazar Hai Ye, Mein Zabu Mein Rehta Hoon.

Ye Kia Kam Hai Ehsan Zamane Ka Mujh Par.

K Mein Ab Tak Zinda Izat-O-Abru Mein Rehta Hoon.

Suna Tha Bahut K ishq Balaye Jaan Hai.

Dekho Aaj Mein Aaine K Ru-Ba-Ru Mein Rehta Hoon.

AYAZ Teri Yaad Hai Aur Ye Mukhtasar Zindagi.

Mein To Zinda Sirf Tere Rang-O-Bu Mein Rehta Hoon..........!

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai