Har Taraf Husn Hai Jawani Hai Aaj Ki Rat Kia Suhani Hai

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Har Taraf Husn Hai Jawani Hai,

Aaj Ki Rat Kia Suhani Hai,

Reshmi Jism Sar Sarate Hain,

Mar Marein Khawab Gungunate Hain,

Dharkano Mein Sarwar Phaila Hai,

Rang Nazdeek Door Phaila Hai,

Dawat-E-Ishq De Rahi Hai Fiza,

Aaj Ho Ja Kisi Haseen Pe Fida,

Mohabbat Bare Kaam Ki Cheez Hai,

Mohabbat K Dam Se Hai Dunia Ki Ronaq,

Mohabbat Na Hoti To Kuch Bhi Na Hota,

Nazar Aur Dil Ki Panahon Ki Chooti,

Ye Janat Na Hoti To Kuch Bhi Na Hota,

Kitabon Mein Chupte Hain Chahat K Qisse,

Haqeeqat Ki Dunia Mein Chahat Nahi Hai,

Mohabbat Se Itne Khafa Hone Wale,

Chal Aa Aaj Tujh Ko Mohabbat Sikha Dein,

Tera Dil Jo Barson Se Weeraan Para Tha,

Kisi Naz Naina Ko Is Mein Basa Dein,

Mera Mashwara Kaam Ki Cheez Hai..............! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo