Poet HAFIZ SHEERAZ
Hussn Ka Chand Hai Roo-E-Darkhshan Aap Ka,
Aabro Bakhsh Haseena Hai Zankhdan Aap Ka,
Hasrat-E-Deedar Mein Jaan Labo'n Par Aa Gayi,
Bahir Aaye ?
Lot Jaye ?
Kaya Hai Farman Aap Ka ?
Kon Sa Din Hoga Wo Bhi Jab Galy Dono'n Milein,?
Jama Khatir Mairi Aur Gaisoo Praisha'n Aap Ka,
Nargis Be-Bak Ny Ki Aafiyt Sub Ki Kharaab,
Sater Poshi Sy Rahy Ye Masat-E-Ariyan Aap Ka,
Bakhat Khawab Aalooda Apna Shayd Aub Baidar Ho,
Chheenty Mun'h Par Dy Raha Hai Roo-E-Rakhsan Aap Ka,
Gulshan-E-Rukhsar Sy Pohnchy Koi Urr Kar Waraq,
Daikhein Aub Kis Rang-O-Boo Par Hai Gulsitan Aap Ka,
Dil Chala Hatho'n Sy Haa'n Dildar Ko Daina Khabr,
Dost Hai Hath Maira Aur Daman Aap Ka,
Aap Ki Umer Daraz Ay Saqiyan-E-Bazm-E-Jamm,
My Sy Khali Garcha Guzra Hum Py Doran Aap Ka,
Ay Saba Pohncha Ye Ahl-E-Khurad Ko Mairi Dua,
Ho Sar-E-Nahaq Shanasa'n Goo-E-Maidan Aap Ka,
Door Ho'n Laikin Samjh Na Mujh Ko Dil Sy Door,
Aap K Sheh Ka Ho'n Banda Aur Sana Khawan Aap Ka,
Ay Shehnshah-E-Bulan Akhtar Sahara Dijiye,
Aasman Tak Uth K Chhou Lo'n Sang-E-Ewaan Aap Ka,
Aaiye Daman Bacha Kar Khak-E-Khoon Mein Hain Parry,
Saikrro'n Kushaty Yahan Aur Qurbaan Aap Ka,
Karta Hai HAFIZ Dua,
Aameen Go Hain Sub Yahan,
Ho Mubaar Hum Ko La Al-E-Shakar Afsha'n Aap Ka.
Comments
Post a Comment