Jo Chamkate Damkate Thay RUKHSAR

 

 

 

============

RUKHSAR

============

 

POET

 UMAR RAAHI 

 

Jo Chamkate Damkate Thay RUKHSAR*

Aaj Wo Aanso'on Se Tar Hain RUKHSAAR*

Wo Laal Gulab K Phool Se*

Murjha Gaye Hain Kion Ye RUKHSAAR*

Jaise Shabnam Ho Phool Ki Patti Patti Par*

Behte Aanso Thay Bheege Wo RUKHSAAR*

Jo Mere Choone Se Chamak Uthte Thay*

Bujhe Bujhe Se Dekhe Aaj Wo RUKHSAAR*

Kitabi Chehre Ka Waraq Waraq*

Satar Satar Mein Likha Tha Gham-E-RUKHSAAR*

In Hansty Muskraty Hontoon Sy*

Chheen Gaya Hansi Gham-E-RUSKHAAR*

Payaar Sy Jab Bhi Chooma In Ko Main Ny*

Ho Jaty Thy Sharm Sy Laal Ye RUSKHAAR*

Judaayi Ki Kaisai Ye Garm Hawa Chali*

Jhal's Gaya Ye Gulshan-E-RUKHSAAR*

Raahi Tairy Safar Ki Manzil Ka Thikana Thy Jo*

Ujarr Gaya Wo Taira Aashiyana-E-RUKHSAAR....*

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo