Jurm-E-Ulfat Pe Humain Log Saza Dete Hain

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Jurm-E-Ulfat Pe Humain Log Saza Dete Hain,

Kaise Nadan Hain Sholon Ko Hawa Dete Hain,

Hum Se Deewane Kahein Tark-E-Wafa Karte Hain,

Jan Jaye K Rahe Bat Nibha Karte Hain,

Aap Dolat K Tarazo Mein Dilon Ko Tolein,

Hum Mohabbat Se Mohabbat Ka Sila Dete Hain,

Takhat Kia Cheez Hai Aur Laal-O-Jawahir Kia Hain,

Ishq Wale To Khudai Bhi Luta Dete Hain,

Hum Ne Dil De Bhi Dia Ehd-E-Wafa Le Bhi Lia,

Aap Ab Shoq Se De Lein Jo Saza Dete Hain................!

Page 331 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai