Kahanian Na Suno Aas Pas Logon Ki

 

Poet: Ahmad Faraz

Typ By

*._Ayaz Khan_.*

 

Kahanian Na Suno Aas Pas Logon Ki.

K Mera Shehr Hai Basti Udas Logon Ki.

Na Koi Samat Na Manzil So Qafla Kaisa.

Rawaan Hai Bheerr Faqat Be-Qayas Logon Ki.

Kaisi Se Puch Hi Letay Wafa K Baab Mein Hum.

Kami Nahi Thi Zamana Shanaas Logon Ki.

Muhabbaton Ka Safar Khatam To Nahi Hota.

Baja K Dosti Aai Na Raas Logon Ki.

Humen Bhi Apne Kai Dost Yaad Aate Hain.

Kabhi Jo Baat Chale Nasapas Logon Ki.

Karo Na Apni Bala Nosheeon K Youn Charchay.

K is Se Aur Bharrakti Hai Piyas Logon Ki.

Mein Aane Wale Zamanon Se Dar Raha Hon FARAZ.

K Mein Ne Dekhi Hain Aankhen Udaas Logon Ki......!

Book: Aye ishq e janu pesha

Page: 114 to 115

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo