Kalam Karti Nahi Bolti Bhi Jati Hai Ye Kaisi

 

Poet Amjid Islam Amjid 

 

Kalam Karti Nahi Bolti Bhi Jati Hai,

Teri Nazar Ko Ye Kaisi Zaban Aati Hai?

Kabhi Kabhi Mujhe Pehchanti Nahi Wo Aankh,

Kabhi Charagh Se Charon Taraf Jalati Hai,

Ajab Tazaad Mien Palti Tere Vasl Ki Aas,

K Aik Aag Bujhti Hai Ek Lagati Hai,

Wo Dekhti Hai Mujhe Aisi Mast Nazro Se,

Mere Laho Mein Koi Aag Sar Sarati Hai,

Ye Chaar Soo Ka Andhera Simatne Lagta Hai,

Kuch Is Tarha Teri Awaz Jag Magati Hai,

Ye Koi Aur Nahi Aag Hai Ye Andar Ki,

Badan Ki Rat Mein Jo Roshni Bichati Hai,

Main Us Ko Dekhta Rehta Hon Rat Dhalne Tak,

Jo Chandni Teri Galion Se Ho Kar Aati Hai,

Jo Roshni Bhi Ataa Hai Teri Mohabbat Ki,

Jo Meri Rooh K Manzar Mujhe Dekhati Hai,

Umeed-e-wasl Bhi Amjid Hai Kanch Ki Choori,

K Pehn'ne Mien Kai Bar Toot Jati Hai...........! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo