Kehta Hai Zamane Se Ye Darveish-E-Jawaan Mard (QALANDAR KI PEHCHAN)

 

Poet Allama Iqbal 

 

Kehta Hai Zamane Se Ye Darveish-E-Jawaan Mard,

Jata Hai Jidhar Banda-E-Haq Too Bhi Udhar Ja,

Hangame Hain Mere Teri Taqat Se Ziada,

Bachta Howa Bungah-E-Qalandar Se Guzar Ja,

Main Kashti-E-Malaah Ka Mohtaj Na Hon Ga,

Charhta Howa Daria Hai Agar Too To Utar Ja,

Tora Nahi Jado Meri Takbeer Ne Tera?

Hai Tujh Mein Mukar Jane Ki Jurat To Mukar Ja,

Mehr-O-Mah-O-Anjum Ka Muhasib Hai Qalandar,

Ayam Ka Markab Nahi Rakib Hai Qalandar...............!

Page 36 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai