Mere Qatil Mere Dildar Mere Pas Raho Jaise Gharri Raat Chale

 

Poet Faiz Ahmad Faiz

Typ By

*.__Ayaz Khan__.* 

 

Tum Mere Pas Raho,

Mere Qatil Mere Dildar Mere Pas Raho Jaise Gharri Raat Chale,

Aasmanon Ka Lahu Pee K Saya Raat Chale.

Marahm-E-Mushk Liye, Nashatar-E-Almaas Liye.

Been Karti Hoi Hansti Hoi, Gati Nikle.

Dard K Kansi Pazeeb Bajati Nikle,

Jais Gharri Seenon Mein Dube Howe Dil.

Aastino Mein Nihan Hathon Ki Rah Takne Lageen.

Aas Liye,

Aur Bachon K Balakne Ki Tarah Qulqul-E-May.

Bahr-E-Nasudgi Machle To Manaye Na Mane.

Jab Koi Baat Banaye Na Bane,

Jab Na Koi Baat Chale.

Jais Gharri Raat Chale,

Jais Gharri Matami, Sunsan, Saya Raat Chale.

Pas Raho,

Mere Qatil, Mere Dildaar, Mere Pas Raho..........!

Book

Requiem For An Unsung Messiah

Page 159

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo