Mujhe Aisa Lutf Ata Kia Jo Na Hijar Tha Na Wisal Tha

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Mujhe Aisa Lutf Ata Kia Jo Na Hijar Tha Na Wisal Tha,

Mere Mosamo K Mijaz Daan,

Tujhe Mera Kitna Khayal Tha,

Kisi Aur Chehre Ko Dekh Kar,

Teri Shakl Zehan Mein Aa Gain,

Tera Naam Le K Mila Usay,

Mere Hafze Ka Ye Haal Tha,

Kabhi Mosamo K Sarab Mein,

Kabhi Baam-o-Dar K Azab Mein,

Wahan Umar Hum Ne Guzar Di,

Jahan Sans Lena Muhal Tha,

Kabhi Too Ne Ghor Nahi Kia,

K Ye Log Kaise Ujar Gaye?

Koi Mere Jaisa Girafta Dil,

Tere Samne Ki Misal Tha,

Tere Baad Koi Nahi Mila,

Jo Ye Haal Dekh K Poochta,

MOHSIN

Mujhe Kis Ki Aag Jhulsa Gai?

Mere Dil Ko Kis Ka Malal Tha,

Kahein Khoon-e-Dil Se Likha To Tha,

Tere Saal-e-Hijar Ka Aaina,

Wo Adhoori Daire Kho Gaye,

Wo Na Jane Kon Sa Saal Tha.................! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai