Musalsal Rokti Hon Us Ko Shehr-E-Dil Mein Aane Se

 

 

Poetess Tasleem Faazli 

 

Musalsal Rokti Hon Us Ko Shehr-E-Dil Mein Aane Se,

Magar Wo Kooh-E-Kun Rukta Nahi Deewar Dhane Se,

Bhala Kia Dukh K Aangan Mein Sulagti Larkian Jane,

Kahien Chupte Hain Aanso Anchlon Mein Chupane Se,

Abhi To Fasal Taza Hai Humare Harf-O-Maani Ki,

Abhi Dete Nahi Hum Mosmo K Aane Jane Se,

Abhi To Ishq Mein Aankhain Bujhi Hain Dil Salamat Hai,

Zamne Banjh Hoti Hain Kabhi Faslein Jalane Se,

Tujhe Tanha Mohabbat Ka Ye Daria Paar Karna Hai,

Nadamat Ho Gi Us K Hoslon Ko Aazmane Se,

Humain Kis Zarf K Qirdar K Qisse Sunata Hai,

Tujhe Aaye Sheir Hum Bhi Jante Hain Ek Zamane Se,

Tujhe Bhi Zabt-E-Gham K Shoq Ne Pathar Bana Dala,

Tujhe Aye Dil Bahut Roka Tha Rasm-O-Rah Nibhane Se..................! 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo