Nala Hadood-E-Koye Rasaa Se Guzar Gia

 

Poet: Saghar Saddiqui

Typ By

*._Ayaz Khan_.*

 

Nala Hadood-E-Koye Rasaa Se Guzar Gia.

Ab Dar-E-Dil Elaj-O-Dawa Se Guzar Gia.

Un Ka Khayal Ban Gain Seene Ki Dharrkane.

Naghma Muqam-E-Soot-O-Sada Se Guzar Gia.

Ejjaz-E-Be Khudi Hai K Ye Husan-E-Bandagi.

Ek But Ki Justaju Mein Khuda Se Guzar Gia.

insaf Seem-O-Zar Ki Tajali Ne Dass Liya.

Har Juram Ehteyaaj-E-Saza Se Guzar Gia.

Uljhi Thi Aqal-O-Hosh Mein SAGHAR Rah-E-Hayat.

Mein Le K Tera Naam Fana Se Guzar Gia........!

Book:

Kuliat-e-Saghar

Page: 47

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo