Sharma K Youn Na Dekh Ada K Maqam Se

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Sharma K Youn Na Dekh Ada K Maqam Se,

Ab Bat Barh Chuki Hai Haya K Maqam Se,

Tasveer Khainch Li Hai Tere Shokh Husn Ki,

Meri Nazar Ne Aaj Khataa K Maqam Se,

Dunia Ko Bhool Kar Meri Bahon Mein Jhool Ja,

Awaz De Raha Hon Wafa K Maqam Se,

Dil K Maamle Mein Nateeje Ki Fikar Kia,

Aage Hai Ishq Jurm-O-Saza K Maqam Se.............!

Page 270 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai