Shehr Mein Aisi Koi Mahjabeen Bhi To Nahi Rehti Ghazal Jis Par Kahi Jaye ALIF Sa Naak Ho Jis Ka

 

 

Poet Hamayat Ali Shayar 

 

Meri Fitrat Ghazal Go Hai,

Magar Main Nazm Kehta Hon,

Meri Majboorian Mujh Ko

Ghazal Kehne Nahi Deti,

Mera Asloob Bhi Mujh Se Shikayat Karta Rehta Hai,

Mere Ahbab Bhi Mujh Se Shikayat Kar Rahe Hain,

Shehr Mein Aisi Koi Mahjabeen Bhi To Nahi Rehti,

Ghazal Jis Par Kahi Jaye,

ALIF Sa Naak Ho Jis Ka,

To Chahra NOON Jaisa Ho,

Haseen Ankhein Magar Wo,

KAAF K Naqton K Jaisi Hon,

To Gaisoo LAAM Jaise Hon,

Wo Jis K Azam Ki Bhi Istaqamat Bas ALIF Si Ho,

Hon Jis K Hont BAY Jaise,

Rukh-E-Zaiba K Khaal-O-Khad Hijje Hon,

To Chehra INQALAB Us Ka,

Agar Tasveer Khainchwaye To Kaghaz Par,

HAMAYAT

Faqat Ek INQALAB Aaye......................! 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo