Wo Rat Ka Benawa Musafir Wo Teri Shayari Wo Tera NASIR Teri Gali Tak

 

Poet Nasir Kazmi

 

Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar,

Kidhar Se Aaya Kidhar Gia Wo,

Ajeeb Manoos Ajnabi Tha,

Mujhe To Hairan Kar Gia Wo,

Khushi Ki Rat Ho K Gham Ka Mosam,

Nazar Usay Dhoondti Hai Har Dam,

Wo Boo-E-Gul Tha K Naghma-E-Jan,

Mere To Dil Mein Utar Gia Wo,

Wo Maikade Ko Jagane Wala,

Wo Rat Ki Neend Urane Wala,

Ye Aaj Kia Us K Jee Mein Aai K,

Shaam Hote Hi Ghar Gia Wo,

Wo Jis K Kandhon Pe Hath Rakh Kar,

Safar Kia Too Ne Manzalon Ka,

Teri Gali Se Najane Koin Aaj,

Sar Jhukaye Guzar Gia Wo,

Wo Rat Ka Benawa Musafir,

Wo Teri Shayari Wo Tera Nasir,

Teri Gali Tak To Hum Ne Dekha Tha,

Phir Na Jane Kidhar Gia Wo.

 

Comments

  1. This is the nice post and answer to my question that i was finding for a long time. I will test your services.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai