Ye Kaisa Izn-e-Tukallam Hai Jis Ki Taab Na Ho

 

Poetess Parveen Shakir 

 

Ye Kaisa Izn-e-Tukallam Hai Jis Ki Taab Na Ho,

Sawal Karne Dia Jaye Aur Jawab Na Ho,

Agar Khaloos Ki Dolat K Goshware Banein,

To Sheir Bhar Mein Koi Shab-E-Nasaab Na Ho,

Zameen Apni Mohabbat Mein Begharz To Nahi,

Ye Aur Bat K Har Hath Ka Hisab Na Ho,

Charagh Taaq-e-Tamana Main Rakh K Bhool Gai,

Dua Wo Mang Rahe Thay Jo Mustajab Na Ho,

Kabhi Na Tang Ho Us Par Zameen Ka Daman,

Ameer-E-Sheir Agar Aasman Janab Na Ho,

Humare Qeht Bhi Aur Barshain Bhi Poori Hoi,

Hamare Naam Ka Ab To Koi Azab Na Ho,

Ye Chashm-E-Nam Hai Isay Khushk Dekh Bhal K Kar,

Hari Bhari Koi Basti Hi Zair Aab Na Ho,

Bas Ek Naam Ka Tara Sada Chamakta Rahe,

Gila Nahi Jo Muqdar Mein Mahtab Na Ho....................! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha