Ban k Gajra Tere Baalon Mein Bikhar Jaon Main

 

Poet Wasiq Ali Athar

 

Ban k Gajra Tere Baalon Mein Bikhar Jaon Main,

Misl-e-Kajal Teri Ankhaon Mein Sanwar Jaon Main,

Sans Ban k Kabhi Nathno Se Kabhi Honton Se,

Hole Hole Tere Seene Mein Utar Jaon Main,

Aarzo Dil Ki Meri Jaan-e-Wafa Bas Hai Yehi,

Tere Honton Pe Hansi Ban k Nikhar Jaon Main,

Mar K Bhi Sath Rahe Tera Bas Ek Is K Liye,

Khoon Ban k Teri Rag Rag Mein Utar Jaon Main.........! 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai