Dayar-E-Dil Ki Rat Mein Charagh Sa Jala Gia

 

Poet Nasir Kazmi 

 

Dayar-E-Dil Ki Rat Mein Charagh Sa Jala Gia,

Mila Nahi To Kia Howa Wo Shakal To Dekha Gia,

Judaoin K Zakhm Dard-E-Zindagi Ne Bhar Diye,

Tujhe Bhi Neend Aa Gai Mujhe Bhi Sabar Aa Gia,

Ye Subha Ki Sufaidian Ye Dopahr Ki Zardian,

Ab Aaine Mein Dekhata Hon Main Kahan Chala Gia,

Pukarati Hain Fursatein Kahan Gai Wo Sohabatein,

Zameen Nigal Gai Unhain Ya Aasamaan Kha Gia,

Wo Dosti To Khair Ab Naseeb-E-Dushmanaan Hoi,

Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhi Chala Gia,

Ye Kis Khushi Ki Reet Par Gamon Ko Neend Aa Gai,

Wo Lehr Kis Taraf Gai Ye Main Kahan Samaa Gia,

Gaye Dino Ki Lash Par Pare Raho Gay Kab Talak,?

Utho Amal Kashon Utho Ki Aafatab Sar Pe Aa Gia............! 

 

(WO-HUMSAFAR)

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo