Dil Ko Qabar Bana Kar Jate To Acha Tha

 

 

Poet Muzafar Ali 

 

Dil Ko Qabar Bana Kar Jate To Acha Tha,

Armano Ko Is Mein Dafna Kar Jate To Acha Tha,

Mujhe Deewaron Mein Chunwa Kar Jate To Acha Tha,

Tumhare Baad In Hasraton Ka Kia Ho Ga,

Inhain Kafan Pehna Kar Jate To Acha Tha,

Youn Rota Chor Kar Na Jate Mujh Ko,

Mere Dil Ko Behla Kar Jate To Acha Tha,

Teri Khatir Chor Sakte They Is Zamane Ko,

Ek Bar Humain Aazma Kar Jate To Acha Tha,

Youn Mohabbat Par Daagh Laga Kar Na Jaate,

Rasm_e_ Mohabat Nibha Kar Jate To Acha Tha,

Meri Maiyat Pe Shirkat To Na Kar Sake Tum,

Qabar Ko Phool Se Saja Kar Jate To Acha Tha,

Humari Aankh Se Neend Chura Kar Chale Gaye,

MUZAFAR Ko Andheron Main Tanha Chor Chale Ho,

Deep Koi Jala Kar Jaate To Acha Tha...........! 

 

 

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai