Dunia K Sitam Yad Na Apni Wafa Yad By Nasir Kazmiii

Poet Nasir Kazmi


Dunia K Sitam Yad Na Apni Wafa Yad,


Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yad,


Mein Shikwa BaLab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yad,


Shayad Ke Mere Bhoolne Waalay Ne Kia Yad,


Kia Janiye Kia Ho Gia Arbab-e-Janoon Ko,


Jeene Ki Ada Yad Na Marne Ki Ada Yad,


Kia Lutf K Main Apna Pata Aap Bataon,


Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad


Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin


Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad.......!


(WO-HUMSAFAR)

2 comments:

  1. Jahan tak humein yaad hai yeh Jigar Moradabadi sb ki ghazal hai

    ReplyDelete

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo