Hai Dua Yad Magar Harf-E-Dua Yad Nahi Mere Naghmaat

 

1st Time In All Telecommunications the Complet Ghazal

Poet: Saghar Saddiuqi

Type By

*.__Ayaz Khan__.*

 

Hai Dua Yad Magar Harf-E-Dua Yad Nahi.

Mere Naghmaat Ko Andaz-E-Nawa Yad Nahi.

Main Palkon Se Dar-E-Yar Pe Dastak Di Hai.

Main Wo Saail Hon Jaise Koi Sada Yad Nahi.

Mein Ne Jain K Liye Rahon Mein Bichaya Tha Lahu.

Hum Se Kehte Hain Wahi Ehd-E-Wafa Yad Nahi.

Kaise Bhar Aaain Sar-E-Sham Kisi Ki Aankhen.

Kaise Therai Charaghon Ki Zia Yad Nahi.

Sirf Dhundlaye Sataron Ki Chamak Dekhi Hai.

Kab Howa Kon Howa Mujh Se Khafa Yad Nahi.

Zindgi Jabar-E-Muslsal Ki Tarah Kati Hai.

Jane Keis Juram Ki Paai Hai Saza Yad Nahi.

Aao Ek Sajda Karain Aalam-E-Mad Hoshi Mein.

Log Kehte Hain K SAGHAR Ko Khuda Yad Nahi.................!

 

Book:

Kulliyat e Saghar

Page: 298 to 299

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo