Hai Duaa Yad Magar Harf-E-Dua Yad Nahi

 

Poet Saghar Saddiuqi 

 

Hai Duaa Yad Magar Harf-E-Dua Yad Nahi,

Mere Naghmat Ko Andaz-E-Nawa Yad Nahi,

Hum Ne Jin K Liye Rahon Mein Bichaya Tha Laho,

Hum Se Kehte Hain Wohi Ehd-E-Wafa Yad Nahi,

Zindagi Jabar-E-Musalsal Ki Tarha Kaati Hai,

Jane Kis Jurm Ki Pai Hai Saza Yad Nahi,

Main Palkon Se Dar-E-Yar Pe Dastak Di Hai,

Main Wo Sa'ail Hon Jise Koi Sadaa Yad Nahi,

Kaise Bhar Aain Sar-E-Sham Kisi Ki Aankhein,

Kaise Therai Charaghon Ki Zia Yad Nahi,

Sirf Dhundlaye Sataron Ki Chamak Dekhi Hai,

Kab Howa Kon Howa Mujh Se Khafa Yad Nahi,

Aao Ek Sajda Karain Aalam-E-Mad Hoshi Mein,

Log Kehte Hain K SAGHAR Ko Khuda Yad Nahi.................! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha