Poet Khawaja Hafiz Sheeraz
Type bY
UJRRA_DIL
Hud Hud Ban Ay Saba
K Saba Bhejta Hon Main,
Too Dekh To Kahan Se
Kaja Bhejta Hon Main,
Is Khaak Daan Mein Tujh Sa Parinda Ho Chal Tujhe,
Bar Auj-E-Aashian-E-Wafa Bhejta Hon Main,
Ay Ghaib Az Nazar Ay Mere Hum Qareen-E-Dil,
Hum-Dam Tujhy Dua-O-Sana Bhejta Ho'n Main,
Nazdeek-O-Door Ishq Mein Yaksaan Hain
Main Door Sy,
Ghar Baithy Daikhta Ho'n Dua Bhejta Ho'n,
Rozana Bhar K Naik Duao'n Ka Qafla,
Hamraah-E-Baad-E-Saba Masa Bhejta Ho'n Main,
Ye Mulak-E-Dil Na Lashkar-E-Gham Sy Ho Paimaal,
Jaan-E-Azeez Na'Al-E-Bahaa Bhetja Ho'n Main,
Gham Taza Har Gharri Mujhy Bhaij Aur Naaz Sy,
Farma Keh Nazar-E-Raah-E-KHUDA Bhejta Ho'n Main,
Soorat Mein Apni Sair Kar Us K Kamal Ki,
Aaina Aik Dost Numa Bhejta Hon Main,
Mutrab Ki Hi Zaban Se Sun Le Sarward Mein,
Ye Shoq-E-Dil Ghazal Mein Bhara Bhejta Hon Main,
Aa Saqia K Hatif-E-Ghaibi Ne Di Naveed,
La Taab Dard Ki Ke Dawa Bhejta Hon Main,
Tere Hi Zikar-E-Khair Ka HAFIZ Yahan Hai Raag,
Aa Teiz Gaam Asap-O-Qaba Bhejta Hon Main....!
.
Book Deewan-E-Hafiz
Page 66
Ghazal Number 25
Comments
Post a Comment