Jazbat Zeir-E-Gardish-E-Halaat So Gaye

 

Poet Wasif Ali Wasif 

 

Jazbat Zeir-E-Gardish-E-Halaat So Gaye,

Chaai Ghata To Rind-E-Kharabat So Gaye,

Manzal Se Door Jagti Sochein Thein Zehn Mein,

Manzal Pe Aa Gaye To Khayalat So Gaye,

Taaron Ne Hum Ko Dekh K Shabnam Se Ye Kaha,

Ye Bad Naseeb Waqt-E-Manajaat So Gaye,

Kia Dil Gadaz Mosam Gul Ka Tha Intazar,

Fasl-E-Bahar Aai To Naghmat So Gaye,

Aankhon Mein Hum Ne Kaat Di Sham-E-Gham-E-Firaq,

Aaya Koi Jo Behr-E-Mulaqat So Gaye,

Ek Khawab K Siwa Hai Ye Hasti Tamam Khawab,

Aai Hai Jin K Zehn Mein Ye Bat So Gaye,

Aaya Jo Waqt Marka-E-Haq-O-Kufar Ka,

Kion Sahiban-E-Kashaf-O-Karamaat So Gaye................!

Page 179 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo