Jo Meri Aankhon Se Khawab Dekho To Ek Shab Na So Sake

 

Poet Wasi Shah 

 

Jo Meri Aankhon Se Khawab Dekho,

To Aik Shab Na So Sako Gay,

K Laak Chaho Na Hans Sako Gay,

Hazar Chaho Na Ro Sako Gay,

K Khawab Kia Hain Azab Hain Ye,

Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye,

Rafaqatein In Mein Chootti Hain,

Mohabbatein In Roothti Hain,

Panpati Hain In Mein Wehshatein Si,

Aziatein In Mein Phoot'ti Hain,

Inhi K Dar Se Khizan Hain Jazbe,

Inhi Se Shakhein Si Tootti Hain,

Ghamon Ki Bandish Hain Khaawab Mere,

Dukhon Ki Barish Hain Khawab Mere,

Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa,

Raheen Aatish Hain Khawab Mere,

Khayal Sare Jhuls Gaye,

Sulagti Khawahish Hain Khawab Mere,

Ukharti Sansein Hain Zindagi Ki,

Laho Ki Sazish Hain Khawab Mere,

Jo Meri Aankhon Se Khawab Dekho,

To Aik Shab Bhi Na So Sako Gay............!

Page 13 To 14 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha