Labon Par Aah To Aankhon Mein Pani Chor Jaon Gi

 

 

Poetess Nazia Kanwal Nazi

Type bY

UJRRA_DIL 

 

Labon Par Aah To Aankhon Main Pani Chor Jaon Gi,

Main Mitt Jaon Gi Par Apni Kahani Chor Jaon Gi,

Abhi Hans Hans K Jheelon Gi Badalte Mosamon Ka Dukh,

Kitab-E-Umar Mein Phir Kuch Nadani Chor Jaon Gi,

Mujhy Thehari Hui Udas Rutt Sy Ishq Hai Laikin,

Main Dariyao'n Mein Rawani Chhorr Jao'n Gi,

Decmber Ki Thetharti Sard Raato'n Ki Qasam Mujh Ko,

Tumhary Naam Ik Rutt Suhani Chhorr Jao'n Gi,

Mairy Masoom Bachy Apny Kal Mein Dukh Hi Paein Gy,

Main In Mein Apna Bachpan Aur Jawani Chhorr Jao'n Gi,

Kisi Ko Kaya Mila Mujh Sy ?

Umer Ye Raigaan Guzari,

Aub Socha Hai Keh NAZI Dunya Ye Fani Chhorr Jao'n Gi....!

Book Tanha Chand

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo