Matlab Nikal Gia Hai To Pehchante Nahi

 

Poet Sahir Ludhianvi 

 

Matlab Nikal Gia Hai To Pehchante Nahi,

Youn Ja Rahe Hain Jaise Jante Nahi,

Apni Gharz Thi Jab To Laptna Qabool Tha,

Bahon K Daire Mein Samitna Qabool Tha,

Ab Hum Mana Rahe Hain Magar Mante Nahi,

Hum Ne Tumhain Pasand Kia Kia Bura Kia,

Rutba Hi Kuch Buland Kia Kia Bura Kia,

Har Ek Gali Ki Khak To Hum Chante Nahi,

Moonh Phair Kar Na Jao Humare Qareeb Se,

Milta Hai Koi Chahne Wala Naseeb Se,

Is Tarha Aashqon Pe Kamaan Tante Nahi.............!

Page 322 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo