Nam Hawaon Se Bheegti Hoi Sham Kis K

 

Poet Wasif Ali Wasif 

 

Nam Hawaon Se Bheegti Hoi Sham,

Kis K Gham Mein Hai Ye Bujhti Hoi Sham,

Us K Chehre Pe Haft Rang Dhank,

Meri Aankhoon Mein Hai Basi Hoi Sham,

So Gia Hai Kahein Thaka

Howa Din,

Jag Uthi Hai Ongti Hoi

Sham,

Kon Aaya K Sur Kharoo Howa Din,

Kon Bichra K Maljagi Hoi

Sham,

Mere Ghar K Udas Aangan

Mein,

Aa Gai Mujh Ko Dhoondti Hoi Sham,

Zikar Aaya Hai Un Ka Mehfil Mein,

Khul Gai Hai Wo Bnd Ki Hoi Shaam.............! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai