Phir Tujhe Yad Kar Raha Hon Main Phir Zamane Se

 

Poet Wasif Ali Wasif 

 

Phir Tujhe Yad Kar Raha Hon Main,

Phir Zamane Se Dar Raha Hon Main,

Azm-E-Rasikh Hai Ya Fareb-E-Khudi,

Manzalon Se Guzar Raha Hon Main,

Aasmaan Se Utar Raha Hon Main,

Bebasi Ne Dabo Dia Warna...!

Qadir-E-Khair-O-Shar Raha Hon Main,

Umar Tarkion Mein Kaati Hai,

Ab Ujalon Se Dar Raha Hon Main,

Koi Daman Samet Le Mujh Ko,

Aansoo'n Mein Bikhar Raha Hon Main,

Kion Na Wasif Bapa Ho Ek Mehshar,

Mout Se Pehle Mar Raha Hon Main..............! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai