Qais Koo-E-Laila Mein Jab Pay Namaz Aaya

 

Poet: Bedam Shah Warsi

Typ By

*.__Ayaz Khan__.* 

 

Qais Koo-E-Laila Mein Jab Pay Namaz Aaya.

Kaba Samane Le Kar Ishq Sehar Saaz Aaya.

Dar-E-Dil Ne Chunkaya Be Kudi Ne Chutki Li.

Shauq Ne Kaha L Dekh Wo Hareem Naaz Aaya.

Youn Hi Meri Aankhon Mein Aa K Wo Sama Jain.

Jaise Un Ki Aankhon Mein Shab Ko Khawab Naaz Aaya.

Sath Le K Dushman Ko Mere Ghar Na Aaain Aap.

Aesi Mehrbani Se Mehrban Mein Baaz Aaya.

Hoosh Bhi Howe Rukhsat Aqal Ne Bhi Chorra Sath.

Shauq Mujh Ko Punchane Ta Hareem Naaz Aaya.

Ghaznavi K Aate Hi Shoor Ho Ga Mahshar Mein.

Bandah Ayaz Aaya Banda Ayaz Aaya.

Jab Chala Soye Maqtal Shauq Jaan Nisari Mein.

Dil K Khair Maqdam Ko Barrh K Teer Naaz Aaya.

Shekava Jafa-O-Joor BEDAM Ab Karen Kais Se.

Dard Dene Wala Hi Bana K Chara Saaz Aaya.....!

Book: Mashaf e Bedam

Page: 116 to 117

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo