Sab Ko Dil K Dagh Dekhaye Aik Tujhi Ko Dekha Na Sake



Poet Ibn-E-Insha   
Sab Ko Dil K Dagh Dekhaye,
Aik Tujhi Ko Dekha Na Sake,
Tera Daman Door Nahi Tha,
Hath Humain Phaila Na Sake,
Too Aye Dost Kahan Le Aaya,
Chehra Ye Khurasheed-E-Misaal,
Seene Mein Aabad Karein Gay,
Aankhon Mein To Samaa Na Sake,
Na Tujh Se Kuch Hum Ko Nisbat,
Na Tujh Ko Kuch Hum Se Kaam,
Hum Ko Ye Maloom Tha Lekin,
Dil Ko Ye Samjha Na Sake,
Ab Tujh Se Kis Moonh Se Keh Dein,
Saat Samandar Paar Na Ja,
Beech Ki Ek Deewar Bhi Hum To,
Phaand Na Paye Dha Na Sake,
Mann Paapi Ki Ujri Kheti Sookhi Ki Sookhi Hi Rahi,
Umdde Baadal Girjay Baadal,
Boodein Do Barsa Na Sake...........!
Page 132

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo