Saza Pe Chor Dia Jaza Pe Chor Dia Har Ek Kaam Khuda Pe

 

Poet Adeem Hashmi 

 

Saza Pe Chor Dia Jaza Pe Chor Dia,

Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Dia,

Wo Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta,

Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Dia,

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe,

Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Dia,

Us Se Bat Bhi Karte To Kis Tarha Karte,

Ye Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Dia,

Is Liye To Wo Kehte Hain Bewafa Hum Ko,

K Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya......! 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai