Teri Shan Boo Tarabi Mera Zoq Khak Bazi Tere Aastane Pe Laaye Teri Dilnawazi

 

Poet Wasif Ali Wasif 

 

Teri Shan Boo Tarabi Mera Zoq Khak Bazi,

Tere Aastaan Pe Laye Mujhe Teri Dil Nawazi,

Main Nikal Gia Khard Se Main Janoon-E-Bakhabar Hon,

Meri Zad Mein Lamakaan Hai Mera Kaam Shahbazi,

Too Hai Saqi-E-Zamana Main Hon Rind-E-Ja Wadana,

Ho Atta Maye Shabana K Jhuke Tera Namazi,

Tere Naqsh-E-Paa Ka Sajda Meri Bandagi Ka Hasil,

Isi Bandagi Se Roomi Isi Bandagi Se Razi,

Teri Yad Ka Wali Hon K Main WASIF ALI Hon,

Na Khafi Hon Na Jalee Hon Main Harf-E-Beniazi.............!

Page 53

Kuliat-E-Wasif 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha