Wo Jo Davay Daar Hain Shehr Mein K Sabhi Ka Nabaz Shanas Hai

 

 

1900 post shanza khan & farzana khan ji k nazar

 

Poet

 Ahmad Hameed Sahil

 

Wo Jo Davay Daar Hain Shehr Mein,

K Sabhi Ka Nabaz Shanas Hai,

Kabhi Aa K Mujh Se To Poochta,

K Main Us K Gham Mein Udas Hon,

Ye Meri Kitab-E-Hayat Hai,

Isay Dil Ki Aankh Se Parh Zara,

Main Warq Warq Tere Samne,

Tere Roo Baroo Tere Pas Hon,

Ye Teri Umeed Ko Kia Howa,

Kabhi Too Ne Ghor Nahi Kia,

Kisi Sham Too Ne Kaha To Tha,

Teri Sans Hon Teri Aas Hon,

Ye Teri Judai Ka Gham Nahi,

K Ye Silsile Hain Roz K,

Teri Zat Is Ka Sabab Nahi,

Kai Din Se Youn Hi Udas Hon,

Kisi Aur Ki Aankh Se Dekh Kar,

Mujhe Aise Waise Laqab Na De,

Tera Itbar Hon Jan-E-Man,

Na Guman Hon Na Qayas Hon..................!

Page 32

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha