Wo Kisi Aur Ka Ho Ga To Qayamat Ho Gi



Wo Kisi Aur Ka Ho Ga To Qayamat Ho Gi,

Phir Kisi Ko Bhi Kisi Se Na Mohobbat Ho Gi,

Usay Dekhe Koi Acha Nahi Lagta Mujh Ko,

Us Se Barh Kar Bhi Koi Aur Mohabbat Ho Gi,

Rat Kal Chand Ko Dekha To Ye Ehsas Howa,

Wo Akela Hai Usay Meri Zaroorat Ho Gi,

Ay Khuda Us Ko Kisi Aor Ka Hone Na Dena,

Zindagi Bhar Mujhe Phir Khud Se Shikayat Ho Gi,

Wo Kisi Aur Ki Ho Gi To Anayat Ho Gi,

Youn Mohabbat Ko Sakhawat Se Ukhowat Ho Gi,

Usay Dekh Kar Hi Kuch Acha Nahi Lagta Mujh Ko,

Kuch Deir Aur Youn Dekhi To Qayamat Ho Gi,

Rat Kal Chand Ko Dekha To Ye Ehsas Howa,

Sufaid Ande Mein Zardi Ki Milawat Ho Gi,

Aay KHUDA Wo Kisi Aur Ki Ho Na Paye,

Warna Mout Har Mard Ki Wasiyat Ho Gi...............! 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha