Ye Jo Sanp Seeri Ka Kheil Hai Abi Sath Thay Dono Hum nawa

 

 

Poet Wasiq Ali Athar

 

Ye Jo Sanp Seeri Ka Kheil Hai,

Abi Sath Thay Dono Hum Nawa

Wo Bhi Aik (1) Pe,

Main Bhi Aik (1) Pe

Usay Seeri Mili Wo Charh Gia,

Mujhe Raste Mein Hi Dass Lia,

Mere Bakht K Kisi Sanp Ne,

Bari Dor Se Para Loutna,

Zakham Kha K Apne Naseeb Ka,

Wo Ninaway (99) Pe Ponch Gia,

Main Das (10) K Phair Mein Gir Gia,

Usay 1 Number Tha Chahiye,

Jo Nahi Mila So Nahi Mila,

Main Barha To Barhta Chala Gia,

Bas Ek Choky (4) Ki Bat Thi,

Par Us Se Jeetna Meri Maat Thi,

Main Ne Jan K Goti Ghalt Cahli,

Aur Sanp K Moonh Mein Daal Di,

Ye Jo Pyar Hai Kabhi Sochna,

Ye Bhi Sanp Seerhi Ka Khel Hai...............! 

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo