Youn Betha Hon Dil K Dagh Se Khush By Nasir Kazmi

 

 

Poet Nasir Kazmi 

 

Youn Betha Hon Dil K Dagh Se Khush,

Jaise Bacha Charagh Se Khush,

Jab Taron Ki Shamain Jhilmilain,

Saqi Ne Kia Ayaagh Se Khush,

Gham Chor Gia Jise Jaga Kar,

Wo Dil Na Howa Faragh Se Khush,

Ab Nala-e-Dil Na Chair Bulbul,

Ye Bagh Hai Shor-e-Zaagh Se Khush,

Ab Raas Hai K Kunj-e-Gham Hi,

NASIR

Ab Dil Nahi Sair-e-Baagh Se Khush..............!

(WO-HUMSAFAR)

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai