Din Phir Aaye Hain Bagh Mein Gul K Boo-E-Gul Hai Suragh Mein Gul K

POET NASIR KAZMI


Type bY

UJRRA_DIL


Din Phir Aaye Hain Bagh Mein Gul K,


Boo-E-Gul Hai Suragh Mein Gul K,


Dil-E-Veeran Mein Doston Ki Yad,


Jaise Jugnoo'n Hon Dagh Mein Gul K,


Kaisi Aai Bahar Ab K Baras ?


Boo-E-Khoon Hai Ayagh Mein Gul K,


Ab To Raston Mein Khak Urti Hai,


Sab Karshme Thay Bagh Mein Gul K,


Aanswon K Diye Jala NASIR,


Dam Nahi Ab Charagh Mein Gul K.......!

.

Book

Barg-E-Nay


Page 51

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo