Haal Mat Poch Ishq Karne Ka Umar Jeene Ki Shoq Marne Ka (Compelete Ghazal)

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Haal Mat Poch Ishq Karne Ka,

Umar Jeene Ki Shoq Marne Ka,

Wo Mohabbat Ki Ahtiat K Din,

Haye Mosam Wo Khud Se Darne Ka,

Ab Usay Aaine Se Nafrat Hai,

Kal Jise Shoq Tha Sanwarne Ka,

Khud Kashi Ko Bhi Raigaan Na Samjh,

Kaam Ye Bhi Hai Kar Guzarne Ka,

Umar Bhar K Azab Se Mushkil,

Aik Lamha Sawal Karne Ka,

Khoon Rona Bhi Ek Hunar Tehra,

Baanjh Mosam Mein Rang Bharne Ka,

Toot'te Dil Ko Shoq Hai MOHSIN,

Sorat-E-Barg Gul Bikharne Ka............!

 

Page 153 (T) 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo