Hum Apni Hasti Ko Alam Samjhe Han Magar Tere Gham

 

Poet Wasif Ali Wasif 

 

Hum Apni Hasti Ko Alam Samjhe,

Han Magar Tere Gham Se Kam Samjhe,

Tark-E-Ulfat Pe Aktiar Na Tha,

Hum Tere Zulm Ko Karam Samjhe...!

Sarfarazi Bashar Ko Milti Hai,

Shart Ye Hai K Sar Qalam Samjhe,

Aa Gahi Khud Fareb Khurda Hai,

Is Haqeeqat Ko Log Kam Samjhe,

Kia Ta'aluq Tha Aap Se Apna,

Aap Samjhe Isay Na Hum Samjhe,

Zindagi Ki Har Aik Uljhan Ko...!

Hum Tere Gaisoo'n Ka Kham Samjhe,

Ab Khuda Samjhe Aap Ko Wasif,

Mujh Se Kia Keh Rahe Ho Hum Samjhe............!

 

Page 183 (S.B.) 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo