Itna Khali To Ghar Nahi, Hum Hain Hum Nahi Hain Magar Nahi Hum Hain

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Itna Khali To Ghar Nahi, Hum Hain,

Hum Nahi Hain Magar Nahi, Hum Hain,

Chashm-E-Dushman K Khof Se Pocho,

Nok-E-Neza Pe Sar Nahi Hum Hain,

Sham-E-Tanhai Gham Na Kar K Tera,

Koi Humsafar Nahi, Hum Hain,

Chand Se Keh Do Be Dharak Utre,

Ghar Mein Deewar-O-Dar Nahi Hum Hain,

Wo Jo Sab Se Hain Bekhabar Tum Ho,

Jin Ko Apni Khabar Nahi, Hum Hain,

Kion Jalate Ho Jhonpri Apni,

Is Mein Laal-O-Gohar Nahi Hum Hain,

Hum Hain Humzad, Rat K MOHSIN,

Jin Ki Qismat Sahar Nahi Hum Hain...............!

 

Page 141 (T) 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai